Namaskar Doston, Aaj ki is Post me aapko Instagram Account Delete Kaise Kare Permanently? Iske bare step by step tarika bataya gaya hai, Agr aap yah janna chahate hai ki hum apne Instagram account ko hamesa ke liye delete kaise kar sakte hai. to is post ko last tak jarur padhen.
Instagram Account Delete Kaise Kare Permanently?
Doston wese to Instagram account ko delete karne ke bahut saare tariken hai, lekin aapko aaj mai bahut hi aasan tarika batane wala hun jisse aap apne Instagram App ki madas se hi aasani se permanentyly instagram account delete kar sakte hai.
- Instagram account ko delete karke liye aapko pehle Google play store se app ko update karna hai.
- Ab aapko apna Instagram account ko login kar lena hai jo aap delete karna chahate hai.
- Uske baad aapko apna instagram profile par click karna hai fir upar me teen line milega.
- Teen line par click karne ke baad aapko Settings and privacy kaopton par click karna hoga.
- Fir aapko Account Centre ke option par click karna hoga uske baad niche aapko Personal details par jana hoga.
- Ab aap niche dekh payenge Account ownership and control usi par aapko click karna hoga.
- Uske bad aapko Deactivation or deletion ka option mil jayega usme aap click kar sakte hai.
- Ab aapko apna instagram profile dikhega jo bhi aacunt ko delete karna hai wo select karna hai.
- Agr aapka ek hi account login hai to ek hi aacount dikhega usme aapko click karna hoga.
- Uske baad aapko do option milega Pehla Deactivate account or Dusra Delete account.
- Agr aapko apna Instagram account ko permanently ke liye delete karna hai.
- To aap niche wala Option Delete account Deleting your account is permanently par click kar sakte hai.
- Ab aapko niche Continue ka option milega usme click kar sakte hai.
- Fir aapko Instagram account delete kiyu karna hai wo karan select karna hoga.
- Uske baad aapko Contine par click karna hoga fir aapko Instagram ka login password type karna hoga.
- Password type karne ke baad contine karne ke baad aapko fir se ek baar conform karna hoga.
- Fir aapka Instagram hamesa ke liye delete hoga.
Instagram Account kitne dino me delete hota hai?
Agr aap ek baare Instagram account ko permanently ke liye delete karne ke liye request kar dete hai, to wo account me 30 dino ka samay lagta hai. Fir agar aap us account ko dobara use karna chahate hai to fir se login kar sakte hai. Lekin agar aapa account 30 dino ke baad yani permanently delete ho jane ke baad login karenge to use nahi kar payenge.
Note :- Ek baar aapko Instagram account aap permanetly delete kar dete hai, to fir aapke sare likes, photos, videos, followers sab gayab ho jayege. Apko fir dobara wo nahi dikhega isi liye jab bhi aap apna instagram account ko permanently delete karke ki sochte hai to aapko ye ek baar jarur soch lena chahaiye. Taki aapko koi dikkat na ho. Aap apne kabhi apna instagrma ko kuch dino se liye Deactive karna chahte hai to aapko usi me option mil jata hai use aap follow kar skate hai.
Video dekhen –
Ise Bhi Padhen –
- Mobile se game khel kar paise kaise kamaye?
- YouTube se paise kab aur kaise milte hai?
- Apna aadhar card kaise download karen?
- Voter Id card kaise downlaod karen?
- Internet data kaise bachayen?
To doston main ummid karta hun ki Aap sabhi ko pata chal gaya hai ki Instagram account ko Permanently delete kaise kar sakte hai. Agr aapko yah jankari pasand aayee hai to apne doston ke sath jarur share kare, Aaj ke liye istna hi jald hi milte hai kisi or new Topic ke sath. Thank for Visiting.