Namaskar doston, Aaj ki is post me aap janenge ki Ration Card Ekyc Kaise Kare | Ration card kyc last date. Doston agr aap ration card me kyc karna chahate hai or ration card ka ekyc ka last date ke bare me janna chahate hai to aaj is post me aapko janakri dene wala hun. to chaliye jante hai ki Jharkhand ration card kyc kaise karte hai sath hi kyc ka last date kab tak hai.
Ration Card Ekyc Kaise Kare
Doston ration card ka kyc aap apne Ration dilar ke pas ja ke kyc kara sakte hai, iske alawa aap mobile app ki madad se bhi khud se kar sakte hai. Iske liye jo bhi process hai is post ke madhyam se mai aapko batane wala hun to aap is post ko last tak jarur padhe.
- Agar aap apne Ration dilar ke pas jaa kar Ration card ka ekyc karna chahte hai to waha se bhi aasani se kara sakte hai.
- Iske liye aapko sirf apna Ration number or Aadhar card number lagega.
- Wahan aapka ration number se aapka data nikalkar fingerprint ke darwa ration kyc kiya jayega.
- Agr aapka ration card ke sath aadhar seeding nahi hai to wo bhi aapka ration dilar se ho jayega.
- Isi liye behtar hoga ki aap apne najdiki ration dilar me hi ja kar apan ration card ka kyc karana sahi hoga.
- Lekin agar aap kuch se Ration Card ka ekyc karna chahate ha to aap in step ko follow kar sakte hai.
Ration Card Ekyc Kaise Kare Mobile Se
Agar aap khud se Ration card ka ekyc online karna chahate hai to aapko do mobile application ka jarurat hoga, fir aap online apne mobile se ghar baithe hi Ration card ka ekyc kar sakte hai. Ration card ekyc kaise karte hai online apne mobile se iske liye aapko niche step by step process bataya hun aap us step ko follow kar sakte hai or ekyc kar sakte hai.
- Sabse pehle aap Google play store se Aadhaar FaceRD Name ka app ko download kar lijiye.
- Uske baad aapko Mera ekyc app ko install karna hoga ye bhi app aapko play store se download kar lena hai.
- Aapko bata dun ki aapka aadhar card ke sath mobile number link hona jaruri hai.
- Sath hi aapka aadhar card update hona chahiye yani haal hi ka photo aadhar card me hona chahiye.
- Aapko ap Ration card ekyc ke liye Mera ekyc app ko open karna hoga uske baad aapko state select karna hoga.
- Uske baad aapko aadhar card number or captcha code ko type karna hoga fir submit karna hoga.
- Aapka aadhar ke sath link mobile number par aapko otp prapt hoga use submit kar sakte hai.
- Fir aapko apna face ko authenticate karna hoga aapko aadhar face rd app me redirect kar dega.
- Waha se aapka face match ho jayega to aapka ration card me ekyc ho jayega.
- Kuch is prakar se aap online khud se ration card me ekyc kar sakte hai.
Ration Card KYC Last Date kab tak hai
Jnkari ke anushar aapko bata dun ki ration card ka ekyc ke liye date ko badhaya gaya hai, filhal Jharkhand ration card kyc ke liye last date 28 February 2025 tak rakha gaya hai, agr aage koyee bhi update aata hai to aapko hamre is page ki madad se aapo information kar diya jayega.
Doston agar aap is janakri ko video ke madhaym se dekhana chahate hai to aapko niche video ka link diya gaya hai, aap us video ko dekh sakte hai or sikh sakte hai ki ration card me aap ekyc kaise kar sakte hai online ghar bathe.
Video dekhen –
Ise bhi padhen –
To doston mai ummid karta hun ki aap sabhi ko pata chal gaya hai ki Ration Card Ekyc Kaise Kare | Ration card kyc last date. Agar aapko aaj ka yah post pasand aaya hai to apne doston ke sath jarur share kare, sath hi aapne man me koyee sawal ya sujhaw hai to niche comment karke jarur batayen.
Aaj ke liye bas itna hi jald hi milte hai kisi or new topic ke sath, tab tak aap apna khayal rakhen Thanks for Visiting.